Kabhi Khole Na Tijori Ka Tala - Bidaai Lyrics


Kabhi Khole Na Tijori Ka Tala

Ho Kabhi Khole Na Tijori Ka Taala
Haan Mera Sasura Badha Paise Waala
Tun Tuna Tun Tuna Tun Tuna
Ho Kabhi Niklega Iska Dewaala
Haan Mera Sasura Badha Paise Wala...

Hat Jaao Mat Shor Karo
Sasure Ko Mat Bore Karo
Sasura Seedha Banda Hai
Maana Kaala Dhandha Hai
Oonchi Mill Ka Maalik Hai
Chhote Dil Ka Maalik Hai
Itna Dhan Kaise Aaya
Maein Bolun Aise Aaya
Lekar Naam Naseebon Ka
Choosa Khoon Gareebon Ka
Sadhu Bankar Ye Daaka Daala
Haan Mera Sasura Badha Paise Wala...

Miliye Ab Is Gori Se
Meri Prem Chakori Se
Kaisi Pyari Lagti Hai
Abla Naari Lagti Hai
Gaaon Ko Dhoka De Aayi
Mujhko Shehar Mein Le Aayi
Qad Ki Thodi Chhoti Hai
Par Shtranj Ki Goti Hai
Aisi Chaal Ye Chalti Hai
Kehte Jaan Nikalti Hai
Kaisi Aurat Se Padh Gaya Paala
Haan Mera Sasura Badha Paise Wala...

Ab Tum Poochho Kaun Hai Yeh
Kitni Der Se Maun Hai Yeh
Yeh Sevak Hai Swami Ka
Rishtedaar Hai Tommy Ka
Kadcha Hai Na Khamcha Hai
Yeh Chhota Sa Chamcha Hai
Kutte Sa Peeche Daude
Pakde To Phir Na Chhode
Achha Is Ka Kaam Nahin
Par Yeh Namak Haraam Nahin
Chori Ke Maal Ka Yeh Rakhwaala
Haan Mera Sasura Badha Paise Wala...

4 Comments