Force Lyrics

Dil Ki Hai Tamanna - Force Lyrics

Dil Ki Hai Tamanna

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna teri bannu main mujhko bhi hai bas mera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Hum jab mil gaye hain, phir kyun yeh faasle
Paas aake bhi hum kuch door se hain
Kyun jijke se hain dono
Kyun pitke se hain dono
Kya jaane hum kyun yun majboor se hain

Mere aankhon mein sitaare hain
Sharmeelay se ishaare hain
Inko zara toh dekho tum, inko toh samjho

Kyun ho gayi ho sharmeeli, jo hai baat dil ki rangeeli
Yeh sharm-warm tum chhodo, hum se toh keh do
Jo dhadkan mein, saanson mein, ik raaz hai chhupa
Aa duniya se keh de hum, mere saathiya

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Jab do dilon ka kehna hai, ab saath humko rehna hai
Jab dono dil dhadkte hain, toh kya hai mushkil
Bas itni si shikaayat hai, chup rehne ki jo aadat hai
Chhodo kabhi toh tum keh do, jo kehta hai dil

1 Comments