Main Kaun Hoon - Lamhaa Lyrics


Main Kaun Hoon

Bulla kahe tu kuch bhi nahi
Main bhi kahun main kuch bhi nahi
Bulla kahe tu kuch bhi nahi
Main kuch bhi nahi
Naa des mera, naa mitti meri
Main hoon banjaara
Meri hi zameen pe
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyon apne jahaan mein
Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

This long cannot go
Pandito ke naam par
Kashmeeriat ke naam par
Azaadi ke naam par
Sabi shaamil hain, sabi shaamil hain

Naa jaane kyun aisa ho gaya
Begaani hui apni jagah
Naa jaane kyun apni hi taraf
Uth ti hain sabhi ki ungliyaan
Ab to yakeen khud pe bhi nahin
Anjaana hai har lamhaa yahaan
Nazre churaaye, aankhein jhukaaye
Kab tak jeeye hum iss tarah
Kaisi khata thi, jo yeh sazaa di
Humko kahin ka naa rakha
Jannat thi apni sarzameen
Sufi humko kehte sabhi
Ab to koi, mujrim koi, aatanki keh raha
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyon apne jahaan mein
Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

Naa des mera, naa mitti meri
Main hoon banjaara
Meri hi zameen pe
Main kaun hoon, main kaun hoon

Chehre to sabke hain haseen
Par dil mein hai bas aag hi
Bujhti nahi jo jal rahi
Jo puche barhaan

Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyon apne jahaan mein
Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

2 Comments