Muskaan Lyrics

Year 1993
Rating

Woh Ho Tum (Sad Version) - Muskaan Lyrics


Woh Ho Tum (Sad Version)

Barbaadi ki taraf moda hai, kyoon moda hai
Jisne mera dil toda hai, dil toda hai
Barbaadi ki taraf moda hai
Jisne mera dil toda hai
Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2
Ho, tere surkh naazuk larazte labon pe
Kisi aur deewaane ka yun naam hoga
Tere surkh naazuk larazte labon pe
Kisi aur deewaane ka yun naam hoga
Na socha tha maine kabhi jaane jaana
Mera pyaar bhi aise naakaam hoga
Thaamke yeh daaman chhoda hai, kyoon chhoda hai
Barbaadi ki taraf moda hai
Jisne mera dil toda hai
Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2
Mohabbat mein tumne kisi roz dilbar
Mujhe apni baahon ka sahaara diya tha
Ho, mohabbat mein tumne kisi roz dilbar
Mujhe apni baahon ka sahaara diya tha
Meri chaahaton ko khayaalon ko tumne
Bada khubsoorat nazaara diya tha
Ab gham se rishta joda hai, kyoon joda hai
Barbaadi ki taraf moda hai
Jisne mera dil toda hai
Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2

5 Comments